Junun-e-dil Na Sirf Itna Ki Ek Gul Pairahan Tak Hai

junun-e-dil na sirf itna ki ek gul pairahan tak hai

qad o gesu se apna silsila dar-o-rasan tak hai

magar ai ham-qafas kahti hai shorida-sari apni

ye rasm-e-qaid-o-zindan ek diwar-e-kuhan tak hai

kahan bach kar chali ai fasl-e-gul mujh aabla-pa se

mere qadmon ki gul-kari bayaban se chaman tak hai

main kya kya jura-e-KHun pi gaya paimana-e-dil mein

bala-noshi meri kya ek mai-e-saghar shikan tak hai

na aaKHir kah saka us se mera haal-e-dil-e-sozan

mah-e-taban ki jo us ka sharik-e-anjuman tak hai

nawa hai jawedan 'majruh' jis mein ruh-e-saat ho

kaha kis ne mera naghma zamane ke chalan tak hai

(346) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun-e-dil Na Sirf Itna Ki Ek Gul Pairahan Tak Hai In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Junun-e-dil Na Sirf Itna Ki Ek Gul Pairahan Tak Hai is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Junun-e-dil Na Sirf Itna Ki Ek Gul Pairahan Tak Hai for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Junun-e-dil Na Sirf Itna Ki Ek Gul Pairahan Tak Hai in PDF.