Mujhe Sahl Ho Gain Manzilen Wo Hawa Ke RuKH Bhi Badal Gae

mujhe sahl ho gain manzilen wo hawa ke ruKH bhi badal gae

tera hath hath mein aa gaya ki charagh rah mein jal gae

wo lajae mere sawal par ki uTha sake na jhuka ke sar

uDi zulf chehre pe is tarah ki shabon ke raaz machal gae

wahi baat jo wo na kah sake mere sher-o-naghma mein aa gai

wahi lab na main jinhen chhu saka qadah-e-sharab mein Dhal gae

wahi aastan hai wahi jabin wahi ashk hai wahi aastin

dil-e-zar tu bhi badal kahin ki jahan ke taur badal gae

tujhe chashm-e-mast pata bhi hai ki shabab garmi-e-bazm hai

tujhe chashm-e-mast KHabar bhi hai ki sab aabgine pighal gae

mere kaam aa gain aaKHirash yahi kawishen yahi gardishen

baDhin is qadar meri manzilen ki qadam ke KHar nikal gae

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Sahl Ho Gain Manzilen Wo Hawa Ke RuKH Bhi Badal Gae In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Mujhe Sahl Ho Gain Manzilen Wo Hawa Ke RuKH Bhi Badal Gae is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Mujhe Sahl Ho Gain Manzilen Wo Hawa Ke RuKH Bhi Badal Gae for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Mujhe Sahl Ho Gain Manzilen Wo Hawa Ke RuKH Bhi Badal Gae in PDF.