Mujhse Kaha Jibril-e-junun Ne Ye Bhi Wahi-e-ilahi Hai

mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

mazhab to bas mazhab-e-dil hai baqi sab gumrahi hai

wo jo hue firdaus-badar taqsir thi wo aadam ki magar

mera azab-e-dar-badri meri na-karda-gunahi hai

sang to koi baDh ke uThao shaKH-e-samar kuchh dur nahin

jis ko bulandi samjhe ho un hathon ki kotahi hai

phir koi manzar phir wahi gardish kya kije ai ku-e-nigar

mere liye zanjir-e-gulu meri aawara-nigahi hai

bahr-e-KHuda KHamosh raho bas dekhte jao ahl-e-nazar

kya laghzida-qadam hain us ke kya duzdida-nigahi hai

did ke qabil hai to sahi 'majruh' teri mastana-rawi

gard-e-hawa hai raKHt-e-safar raste ka shajar ham-rahi hai

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhse Kaha Jibril-e-junun Ne Ye Bhi Wahi-e-ilahi Hai In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Mujhse Kaha Jibril-e-junun Ne Ye Bhi Wahi-e-ilahi Hai is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Mujhse Kaha Jibril-e-junun Ne Ye Bhi Wahi-e-ilahi Hai for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Mujhse Kaha Jibril-e-junun Ne Ye Bhi Wahi-e-ilahi Hai in PDF.