Nigah-e-nsaqi-e-a-mehrban Ye Kya Jaane

nigah-e-nsaqi-e-na-mehrban ye kya jaane

ki TuT jate hain KHud dil ke sath paimane

mili jab un se nazar bas raha tha ek jahan

haTi nigah to chaaron taraf the virane

hayat laghzish-e-paiham ka nam hai saqi

labon se jam laga bhi sakun KHuda jaane

tabassumon ne nikhaara hai kuchh to saqi ke

kuchh ahl-e-gham ke sanware hue hain mai-KHane

ye aag aur nahin dil ki aag hai nadan

charagh ho ki na ho jal-bujhenge parwane

fareb-e-saqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'

sharab ek hai badle hue hain paimane

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-nsaqi-e-a-mehrban Ye Kya Jaane In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Nigah-e-nsaqi-e-a-mehrban Ye Kya Jaane is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Nigah-e-nsaqi-e-a-mehrban Ye Kya Jaane for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Nigah-e-nsaqi-e-a-mehrban Ye Kya Jaane in PDF.