Su-e-maqtal Ki Pae Sair-e-chaman Jate Hain

su-e-maqtal ki pae sair-e-chaman jate hain

ahl-e-dil jam-ba-kaf sar-ba-kafan jate hain

aa gai fasl-e-junun kuchh to karo diwano

abr sahra ki taraf saya-fagan jate hain

us ko dekha nahin tum ne ki yahi kucha o rah

shaKH-e-gul shoKHi-e-raftar se ban jate hain

wo agar baat na puchhe to karen kya hum bhi

aap hi ruThte hain aap hi man jate hain

bulbulo apni nawa faiz hai un aankhon ka

jin se hum sikhne andaz-e-suKHan jate hain

jo Thaharti to zara chalte saba ke hamrah

yun bhi hum roz kahan su-e-chaman jate hain

luT gaya qafila-e-ahl-e-junun bhi shayad

log hathon mein liye tar-e-rasan jate hain

rok sakta hamein zindan-e-bala kya 'majruh'

hum to aawaz hain diwar se chhan jate hain

(436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Su-e-maqtal Ki Pae Sair-e-chaman Jate Hain In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Su-e-maqtal Ki Pae Sair-e-chaman Jate Hain is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Su-e-maqtal Ki Pae Sair-e-chaman Jate Hain for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Su-e-maqtal Ki Pae Sair-e-chaman Jate Hain in PDF.