Taqdir Ka Shikwa Be-mani Jina Hi Tujhe Manzur Nahin

taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin

aap apna muqaddar ban na sake itna to koi majbur nahin

ye mahfil-e-ahl-e-dil hai yahan hum sab mai-kash hum sab saqi

tafriq karen insanon mein is bazm ka ye dastur nahin

jannat ba-nigah tasnim ba-lab andaz us ke ai shaiKH na puchh

main jis se mohabbat karta hun insan hai KHayali hur nahin

wo kaun si subhen hain jin mein bedar nahin afsun tera

wo kaun si kali raaten hain jo mere nashe mein chur nahin

sunte hain ki kanTe se gul tak hain rah mein lakhon virane

kahta hai magar ye azm-e-junun sahra se gulistan dur nahin

'majruh' uThi hai mauj-e-saba aasar liye tufanon ke

har qatra-e-shabnam ban jae ek ju-e-rawan kuchh dur nahin

(394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taqdir Ka Shikwa Be-mani Jina Hi Tujhe Manzur Nahin In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Taqdir Ka Shikwa Be-mani Jina Hi Tujhe Manzur Nahin is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Taqdir Ka Shikwa Be-mani Jina Hi Tujhe Manzur Nahin for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Taqdir Ka Shikwa Be-mani Jina Hi Tujhe Manzur Nahin in PDF.