Wo Jis Pe Tumhein Sham-e-sar-e-rah Ka Guman Hai

wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai

wo shoala-e-awara hamari hi zaban hai

ab hath hamare hai inan raKHsh-e-junun ki

ab sar pe hamare kulah-e-sang-e-butan hai

bas pher ke munh KHar qadam khinch rahe the

dekha to nihan qafila-e-ham-safaran hai

chubhte hi bani KHar-sifat pa-e-KHizan mein

kya kije bahut hum ko gham-e-lala-ruKHan hai

kaam aae bahut log sar-e-maqtal-e-zulmat

ai raushni-e-kucha-e-dil-dar kahan hai

ai fasl-e-junun hum ko pae-shaghl-e-gareban

paiwand hi kafi hai agar jama giran hai

'majruh' kahan se guhar-e-gandum-o-jau laen

apni to girah mein yahi chashm-e-nigaran hai

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jis Pe Tumhein Sham-e-sar-e-rah Ka Guman Hai In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Wo Jis Pe Tumhein Sham-e-sar-e-rah Ka Guman Hai is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Wo Jis Pe Tumhein Sham-e-sar-e-rah Ka Guman Hai for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Wo Jis Pe Tumhein Sham-e-sar-e-rah Ka Guman Hai in PDF.