Wo To Gaya Ye Dida-e-KHun-bar Dekhiye

wo to gaya ye dida-e-KHun-bar dekhiye

daman pe rang-e-pairahan-e-yar dekhiye

dikhla ke wo to le bhi gaya shoKHi-e-KHiram

ab tak hain raqs mein dar o diwar dekhiye

ukta ke hum ne toDi thi zanjir-e-nam-o-nang

ab tak faza mein hai wahi jhankar dekhiye

sine mein chhup gaya hai tulu-e-sahar ke sath

ab shaKH-e-dil pe wo gul-e-ruKHsar dekhiye

barq-e-tapida baad-e-saba shola aur hum

hain kaise kaise us ke giraftar dekhiye

pahle bhi tez-rau the par us dil-nashin ke sath

ye chashm-e-nam ye masti-e-raftar dekhiye

'majruh' ke labon se ye KHushbu na ja saki

baKHshi jo us ne daulat-e-bedar dekhiye

(407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo To Gaya Ye Dida-e-KHun-bar Dekhiye In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Wo To Gaya Ye Dida-e-KHun-bar Dekhiye is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Wo To Gaya Ye Dida-e-KHun-bar Dekhiye for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Wo To Gaya Ye Dida-e-KHun-bar Dekhiye in PDF.