Bahut TalKH Hain Zindagi Ke Fasane

bahut talKH hain zindagi ke fasane

mere KHwab hain phir bhi kitne suhane

sahaara na deti agar mauj-e-tufan

Dubo hi diya tha hamein na-KHuda ne

sahar ko to aana hai aa kar rahegi

kaTe kaise lekin ye shab kaun jaane

giri aur girti rahi barq-e-sozan

bane aur bante rahe aashiyane

sitaron se aage bahut kuchh hai mana

zamin par bhi jine ke hon kuchh bahane

'kalim' aaj kya soch kar ho gae chup

are aa gae yaad kab ke zamane

(367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut TalKH Hain Zindagi Ke Fasane In English By Famous Poet Makeen Ahsan Kaleem. Bahut TalKH Hain Zindagi Ke Fasane is written by Makeen Ahsan Kaleem. Read famous Poem Bahut TalKH Hain Zindagi Ke Fasane for youth and Student by Makeen Ahsan Kaleem. Free Download Bahut TalKH Hain Zindagi Ke Fasane in PDF.