Hayat Mujh Pe Ek Ilzam Hi Sahi Phir Bhi

hayat mujh pe ek ilzam hi sahi phir bhi

bahut aziz hai mujh ko ye zindagi phir bhi

nahin kuchh aur to mumkin thi KHud-kushi phir bhi

hai koi baat ki jita hai aadmi phir bhi

ye tirgi to bas ek gardish-e-zamin tak hai

magar ye raat jo hum se na kaT saki phir bhi

chaman luTa hai KHud ahl-e-chaman ki sazish se

kali kali hai magar mahw-e-KHwab si phir bhi

kisi ko pa ke bhi akasr guman ye hota hai

ki jaise rah gai baqi koi kami phir bhi

hamin pe yurish-e-zulmat hamin hain kushta-e-shab

hamin hain pesh-raw-e-subh-o-raushni phir bhi

lab-e-'kalim' pe ab naghma-e-bahaar to hai

ye aur baat ki aankhen hain shabnami phir bhi

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hayat Mujh Pe Ek Ilzam Hi Sahi Phir Bhi In English By Famous Poet Makeen Ahsan Kaleem. Hayat Mujh Pe Ek Ilzam Hi Sahi Phir Bhi is written by Makeen Ahsan Kaleem. Read famous Poem Hayat Mujh Pe Ek Ilzam Hi Sahi Phir Bhi for youth and Student by Makeen Ahsan Kaleem. Free Download Hayat Mujh Pe Ek Ilzam Hi Sahi Phir Bhi in PDF.