Ab Kahan Ja Ke Ye Samjhaen Ki Kya Hota Hai

ab kahan ja ke ye samjhaen ki kya hota hai

ek aansu jo sar-e-chashm-e-wafa hota hai

is guzargah mein is dasht mein ai jazba-e-ishq

juz tere kaun yahan aabla-pa hota hai

dil ki mehrab mein ek shama jali thi sar-e-sham

subh-dam matam-e-arbab-e-wafa hota hai

dip jalte hain dilon mein ki chita jalti hai

ab ki diwali mein dekhenge ki kya hota hai

jab barasti hai teri yaad ki rangin phuwar

phul khilte hain dar-e-mai-kada wa hota hai

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Kahan Ja Ke Ye Samjhaen Ki Kya Hota Hai In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Ab Kahan Ja Ke Ye Samjhaen Ki Kya Hota Hai is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Ab Kahan Ja Ke Ye Samjhaen Ki Kya Hota Hai for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Ab Kahan Ja Ke Ye Samjhaen Ki Kya Hota Hai in PDF.