BaDh Gaya Baada-e-gul-gun Ka Maza AaKHir-e-shab

baDh gaya baada-e-gul-gun ka maza aaKHir-e-shab

aur bhi surKH hai ruKHsar-e-haya aaKHir-e-shab

manzilen ishq ki aasan huin chalte chalte

aur chamka tera naqsh-e-kaf-e-pa aaKHir-e-shab

khaTkhaTa jata hai zanjir-e-dar-e-mai-KHana

koi diwana koi aabla-pa aaKHir-e-shab

sans rukti hai chhalakte hue paimane mein

koi leta tha tera nam-e-wafa aaKHir-e-shab

gul hai qindil-e-haram gul hain kalisa ke charagh

su-e-paimana baDhe dast-e-dua aaKHir-e-shab

hae kis dhum se nikla hai shahidon ka julus

jurm chup sar-ba-gareban hai jafa aaKHir-e-shab

isi andaz se phir subh ka aanchal Dhalke

isi andaz se chal baad-e-saba aaKHir-e-shab

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDh Gaya Baada-e-gul-gun Ka Maza AaKHir-e-shab In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. BaDh Gaya Baada-e-gul-gun Ka Maza AaKHir-e-shab is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem BaDh Gaya Baada-e-gul-gun Ka Maza AaKHir-e-shab for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download BaDh Gaya Baada-e-gul-gun Ka Maza AaKHir-e-shab in PDF.