Saz Aahista Zara Gardish-e-jam Aahista

saz aahista zara gardish-e-jam aahista

jaane kya aae nigahon ka payam aahista

chand utra ki utar aae sitare dil mein

KHwab mein honTon pe aaya tera nam aahista

ku-e-jaanan mein qadam paDte hain halke halke

aashiyane ki taraf tair-e-baam aahista

un ke pahlu ke mahakte hue shadan jhonke

yun chale jaise sharabi ka KHiram aahista

aur bhi baiThe hain ai dil zara aahista dhaDak

bazm hai pahlu-ba-pahlu hai kalam aahista

ye tamanna hai ki uDti hui manzil ka ghubar

subh ke parde mein yaad aa gai sham aahista

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saz Aahista Zara Gardish-e-jam Aahista In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Saz Aahista Zara Gardish-e-jam Aahista is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Saz Aahista Zara Gardish-e-jam Aahista for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Saz Aahista Zara Gardish-e-jam Aahista in PDF.