Simab-washi Tishna-labi Ba-KHabari Hai

simab-washi tishna-labi ba-KHabari hai

is dasht mein gar raKHt-e-safar hai to yahi hai

is shahr mein ek aahu-e-KHush-chashm se hum ko

kam kam hi sahi nisbat-e-paimana rahi hai

be-sohbat-e-ruKHsar andhera hi andhera

go jam wahi mai wahi mai-KHana wahi hai

is ahd mein bhi daulat-e-kaunain ke ba-wasf

har gam pe un ki jo kami thi so kami hai

har dam tere anfas ki garmi ka guman hai

har yaad teri yaad ke phulon mein basi hai

har sham sajae hain tamanna ke nasheman

har subh mai-e-talKHi-e-ayyam bhi pi hai

dhaDka hai dil-e-zar tere zikr se pahle

jab bhi kisi mahfil mein teri baat chali hai

wo itr teri kakul-e-shab-rang ne chhiDka

mahki hai KHirad ruh kali ban ke khili hai

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Simab-washi Tishna-labi Ba-KHabari Hai In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Simab-washi Tishna-labi Ba-KHabari Hai is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Simab-washi Tishna-labi Ba-KHabari Hai for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Simab-washi Tishna-labi Ba-KHabari Hai in PDF.