Adhuri Qurbaton Ke KHwab Aankhon Ko Dikha Jaana

adhuri qurbaton ke KHwab aankhon ko dikha jaana

hazaron duriyon par ye tera kuchh pas aa jaana

udasi ke dhundlakon ka dimagh-o-dil pe chha jaana

nazar ke samne ek gum-shuda manzar ka aa jaana

suni hai main ne akasr band darwazon ki sargoshi

sadaen chahti hain sab khuli saDkon pe aa jaana

teri yaaden ki is tufan-e-zulmat mein bhi raushan hain

hua mushkil hawa ko in charaghon ka bujha jaana

KHala mein Dubti si aahaTen thin kuchh jinhen hum ne

safar mein sath rakkha manzilon ka aasra jaana

main tere sath hun to us ki KHushbu ke taaqub mein

jahan tak ja sake ai sar-phiri mauj-e-hawa jaana

nazar us ki bhi ai 'maKHmur' dhoka kha gai aaKHir

wahi tha aashna chehra jise na-ashna jaana

(341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Adhuri Qurbaton Ke KHwab Aankhon Ko Dikha Jaana In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Adhuri Qurbaton Ke KHwab Aankhon Ko Dikha Jaana is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Adhuri Qurbaton Ke KHwab Aankhon Ko Dikha Jaana for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Adhuri Qurbaton Ke KHwab Aankhon Ko Dikha Jaana in PDF.