Bikharte TuTte Lamhon Ko Apna Ham-safar Jaana

bikharte TuTte lamhon ko apna ham-safar jaana

ki tha is rah mein aaKHir hamein KHud bhi bikhar jaana

sar-e-dosh-e-hawa ek abr-pare ki tarah hum hain

kisi jhonke se puchhenge ki hai hum ko kidhar jaana

dil-e-awara kya paband-e-zanjir-e-talluq ho

na tha bas mein kisi ke bhi hawa ko qaid kar jaana

pas-e-zulmat koi suraj hamara muntazir hoga

isi ek wahm ko hum ne chiragh-e-rah-guzar jaana

hamein to sath dena hai rafiqan-e-talatum ka

mubarak tujh ko tanha is nadi ke par utar jaana

mere jalte hue ghar ki nishani bas yahi hogi

jahan is shahr mein kuchh raushni dekho Thahar jaana

suhane mausamon ki yaad sikhlaya tujhe kis ne

ufuq par dida o dil ke dhanak ban kar bikhar jaana

hisar-e-zabt mein rah kar maal-e-hasrat-e-dil kya

kisi qaidi parinde ki tarah ghuT ghuT ke mar jaana

dayar-e-KHamushi se koi rah rah kar bulata hai

hamein 'maKHmur' ek din hai usi aawaz par jaana

(351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bikharte TuTte Lamhon Ko Apna Ham-safar Jaana In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Bikharte TuTte Lamhon Ko Apna Ham-safar Jaana is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Bikharte TuTte Lamhon Ko Apna Ham-safar Jaana for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Bikharte TuTte Lamhon Ko Apna Ham-safar Jaana in PDF.