ChaDhte Dariya Se Bhi Gar Par Utar Jaoge

chaDhte dariya se bhi gar par utar jaoge

panw rakhte hi kinare pe bikhar jaoge

waqt har moD pe diwar khaDi kar dega

waqt ki qaid se ghabra ke jidhar jaoge

KHana-barbaad samajh kar hamein Dhalti hui raat

tanz se puchhti hai kaun se ghar jaoge

sach kaho sham ki aawara hawa ke jhonko

us ki KHushbu ke taaqub mein kidhar jaoge

aage baDh jaenge phir donon hi chup chup yun to

main pukarunga tumhein tum bhi Thahar jaoge

zabt-e-ehsas ke zindan se kahin bhag chalo

aur kuchh der yahan Thahre to mar jaoge

naqsh-e-imroz se aage na nigahen dauDao

kal ki taswir jo dekhoge to Dar jaoge

main bhi saya hun siyah raat mein kho jaunga

tum bhi ek KHwab ho pal-bhar mein bikhar jaoge

raste shahr ke sab band hue hain tum par

ghar se nikaloge to 'maKHmur' kidhar jaoge

(330) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

ChaDhte Dariya Se Bhi Gar Par Utar Jaoge In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. ChaDhte Dariya Se Bhi Gar Par Utar Jaoge is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem ChaDhte Dariya Se Bhi Gar Par Utar Jaoge for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download ChaDhte Dariya Se Bhi Gar Par Utar Jaoge in PDF.