Dida-o-dil Ki Faza Par Gham Ke Baadal Chha Gae

dida-o-dil ki faza par gham ke baadal chha gae

us ke jate hi nigahon ke ufuq sanwla gae

dil to patthar ban gaya tha mom kis ne kar diya

muddaton baad aaj kyun aankhon mein aansu aa gae

thi sukut-e-dil se pahle bazm-e-hasti par KHarosh

phir wo sannaTa hua tari ki hum ghabra gae

be-hisi ka sard mausam zindagi par chha gaya

dil mein raushan the jo angare wo sab kajla gae

ru-ba-ru ek ajnabi chehra sawali ki tarah

aaina dekha to ai 'maKHmur' hum ghabra gae

(294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dida-o-dil Ki Faza Par Gham Ke Baadal Chha Gae In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Dida-o-dil Ki Faza Par Gham Ke Baadal Chha Gae is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Dida-o-dil Ki Faza Par Gham Ke Baadal Chha Gae for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Dida-o-dil Ki Faza Par Gham Ke Baadal Chha Gae in PDF.