Jada-e-marg-e-musalsal Se Guzarta Jaun

jada-e-marg-e-musalsal se guzarta jaun

zindagi ye hai ki har sans mein marta jaun

KHun har lamha-e-maujud ka karta jaun

rang taswir-e-shab-o-roz mein bharta jaun

muntashir silsila-e-gham ko to karta jaun

sath hi sath magar KHud bhi bikharta jaun

bas yunhi hamsari-e-ahl-e-jahan mumkin hai

dam-ba-dam apni bulandi se utarta jaun

main kisi manzil-e-hasti pe kahan rukta tha

rah mein tum jo na mil jao guzarta jaun

umr bhar jada-e-pur-KHar pe chalna hoga

do-ghaDi saya-e-gul mein bhi Thaharta jaun

apni qismat hun ulajhta hi chala jata hun

teri taqdir nahin hun ki sanwarta jaun

madd-o-jazr-e-yam-e-ehsas ka parwarda hun

Dubta jaun magar KHud hi ubharta jaun

aa hi nikla hun jo yaadon ke khanDar tak 'maKHmur'

bhule-bisron se mulaqat bhi karta jaun

(285) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jada-e-marg-e-musalsal Se Guzarta Jaun In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Jada-e-marg-e-musalsal Se Guzarta Jaun is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Jada-e-marg-e-musalsal Se Guzarta Jaun for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Jada-e-marg-e-musalsal Se Guzarta Jaun in PDF.