Jab Koi Sham-e-hasin Nazr-e-KHarabaat Hui

jab koi sham-e-hasin nazr-e-KHarabaat hui

aksar aise mein tere gham se mulaqat hui

aap-apne ko na pahchan sake hum ta-der

un se bichhDe to ajab surat-e-haalat hui

husn se nibh na na saki waz-e-karam aaKHir tak

awwal awwal to mohabbat ki mudaraat hui

roz mai pi hai tumhein yaad kiya hai lekin

aaj tum yaad na aae ye nai baat hui

us ne aawaz mein aawaz mila di thi kabhi

aaj tak KHatm na mausiqi-e-jazbaat hui

dil pe ek gham ki ghaTa chhai hui thi kab se

aaj un se jo mile TuT ke barsat hui

kis ki parchhain paDi kaun idhar se guzra

itni rangin jo guzargah-e-KHayalat hui

un se ummid-e-mulaqat ke baad ai 'maKHmur'

muddaton tak na KHud apne se mulaqat hui

(338) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Koi Sham-e-hasin Nazr-e-KHarabaat Hui In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Jab Koi Sham-e-hasin Nazr-e-KHarabaat Hui is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Jab Koi Sham-e-hasin Nazr-e-KHarabaat Hui for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Jab Koi Sham-e-hasin Nazr-e-KHarabaat Hui in PDF.