Jaanib-e-kucha-o-bazar Na Dekha Jae

jaanib-e-kucha-o-bazar na dekha jae

ghaur se shahr ka kirdar na dekha jae

khiDkiyan band karen chhup ke gharon mein baiThen

kya saman hai pas-e-diwar na dekha jae

surKHiyan KHun mein Dubi hain sab aKHbaron ki

aaj ke din koi aKHbar na dekha jae

shahr ka shahr gunahgar to ho sakta hai

jab kahin koi gunahgar na dekha jae

dasht se kam nahin viran koi basti 'maKHmur'

ye hujum-e-dar-o-diwar na dekha jae

(305) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanib-e-kucha-o-bazar Na Dekha Jae In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Jaanib-e-kucha-o-bazar Na Dekha Jae is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Jaanib-e-kucha-o-bazar Na Dekha Jae for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Jaanib-e-kucha-o-bazar Na Dekha Jae in PDF.