Gham O Nashat Ki Har Rahguzar Mein Tanha Hun

gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun

mujhe KHabar hai main apne safar mein tanha hun

mujhi pe sang-e-malamat ki barishen hongi

ki is dayar mein shorida-sar mein tanha hun

tere KHayal ke jugnu bhi sath chhoD gae

udas raat ke sune khanDar mein tanha hun

giran nahin hai kisi par ye raat mere siwa

ki mubtila main ummid-e-sahar mein tanha hun

na chhoD sath mera in akeli rahon mein

dil-e-KHarab tera ham-safar main tanha hun

wo be-niyaz ki dekhi ho jaise ek duniya

mujhe ye naz main us ki nazar mein tanha hun

mujhi se kyun hai KHafa mera aaina 'maKHmur'

is andhe shahr mein kya KHud-nigar main tanha hun

(316) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham O Nashat Ki Har Rahguzar Mein Tanha Hun In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Gham O Nashat Ki Har Rahguzar Mein Tanha Hun is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Gham O Nashat Ki Har Rahguzar Mein Tanha Hun for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Gham O Nashat Ki Har Rahguzar Mein Tanha Hun in PDF.