Faza Mein Kaisi Udasi Hai Kya Kaha Jae

faza mein kaisi udasi hai kya kaha jae

ajib sham ye guzri hai kya kaha jae

kai guman hamein zindagi pe guzre hain

ye ajnabi hai ki apni hai kya kaha jae

wo dhup dushman-e-jaan thi so thi KHamosh the hum

ye chandni hamein Dasti hai kya kaha jae

yahan bhi dil pe udasi ka chha raha hai dhuan

ye rang o nur ki basti hai kya kaha jae

koi payam hamare liye nahin na sahi

magar sada to usi ki hai kya kaha jae

hamare ahd ke uljhe hue sawalon ka

jawab sirf KHamoshi hai kya kaha jae

zaban pe shukr o shikayat ke sau fasane hain

magar jo dil pe guzarti hai kya kaha jae

tamam shahr ko kyun chup lagi hai kya jaanen

ghuTan dilon mein ye kaisi hai kya kaha jae

shanaKHt dost na dushman ki mo'tabar 'maKHmur'

har ek shakl hi dhundli hai kya kaha jae

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faza Mein Kaisi Udasi Hai Kya Kaha Jae In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Faza Mein Kaisi Udasi Hai Kya Kaha Jae is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Faza Mein Kaisi Udasi Hai Kya Kaha Jae for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Faza Mein Kaisi Udasi Hai Kya Kaha Jae in PDF.