Ek Bar Mil Ke Phir Na Kabhi Umr Bhar Mile

ek bar mil ke phir na kabhi umr bhar mile

do ajnabi the hum jo sar-e-rah-guzar mile

kuchh manzilon ke KHwab the kuchh raston ke dhul

nikle safar pe hum to yahi ham-safar mile

yun apni sarsari si mulaqat KHud se thi

jaise kisi se koi sar-e-rah-guzar mile

ek shaKHs kho gaya hai jo raste ki bhiD mein

is ka pata chale to kuchh apni KHabar mile

apne safar mein yun to akela hun main magar

saya sa ek rah ke har moD par mile

barson mein ghar hum aae to begana-war aaj

hum se KHud apne ghar ke hi diwar-o-dar mile

'maKHmur' hum bhi raqs karen mauj-e-gul ke sath

khul kar jo hum se mausam-e-diwana-gar mile

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Bar Mil Ke Phir Na Kabhi Umr Bhar Mile In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Ek Bar Mil Ke Phir Na Kabhi Umr Bhar Mile is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Ek Bar Mil Ke Phir Na Kabhi Umr Bhar Mile for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Ek Bar Mil Ke Phir Na Kabhi Umr Bhar Mile in PDF.