Mujh Mein Kisi Ka Aks Na Partaw Khaali Aaina Hun Main

mujh mein kisi ka aks na partaw KHali aaina hun main

mere TukDe kaun sameTe ab TuTun ya bikhrun main

meri rasai meri hadon tak teri faza mein tu bhi qaid

tu mujh tak aae to kyun-kar tujh tak kaise pahunchun main

ruKH pe jo tere shafaq khili hai KHun hai mere KHwabon ka

kahe tu ai sham-e-tanhai tujh se lipaT kar ro lun main

duri ke ye lamhe baDh kar kahin na sadiyan ban jaen

tujh ko jab apne pas na paun jaane kya kya sochun main

diwaron se sar Takraun band darichon ke pichhe

khuli faza mein aa niklun to mauj-e-hawa se uljhun main

kaun sunega ye tulani qissa kis ko fursat hai

jo kuchh mujh par bit rahi hai apne dil mein rakkhun main

lafzon mein ehsas ki kaliyan khila raha hun ai 'maKHmur'

jaise koi mujh se kahta ho aa tere lab chumun main

(326) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Mein Kisi Ka Aks Na Partaw Khaali Aaina Hun Main In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Mujh Mein Kisi Ka Aks Na Partaw Khaali Aaina Hun Main is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Mujh Mein Kisi Ka Aks Na Partaw Khaali Aaina Hun Main for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Mujh Mein Kisi Ka Aks Na Partaw Khaali Aaina Hun Main in PDF.