Na Kam Hua Hai Na Ho Soz-e-iztirab-e-durun

na kam hua hai na ho soz-e-iztirab-e-durun

tere qarib rahun main ki tujh se dur rahun

kahin koi tera mahram hai ai dil-e-mahzun

mujhe bata ki kidhar jaun kis se baat karun

teri nazar ne bahut kuchh sikha diya dil ko

kuchh itna sahl na tha warna karobar-e-junun

pukarti hain mujhe wusaten do-alam ki

main apne aap se daman chhuDa sakun to chalun

teri wafa na mujhe ras aa saki lekin

main sochta hun tujhe kaise bewafa kah dun

meri shikasta-dili ka na kar KHayal itna

kahin na main tere KHwabon mein talKHiyan bhar dun

giraft-e-asr-e-rawan is qadar to mohlat de

ki miT rahi hai jo duniya use main dekh to lun

ye kis KHayal ne ki hai meri zaban-bandi

tujhi se kahne ki baaten tujhi se kah na sakun

wo iztirab-talab tha kisi tawaqqo par

ab uTh chuki hai tawaqqo ab aa chala hai sukun

(335) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Kam Hua Hai Na Ho Soz-e-iztirab-e-durun In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Na Kam Hua Hai Na Ho Soz-e-iztirab-e-durun is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Na Kam Hua Hai Na Ho Soz-e-iztirab-e-durun for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Na Kam Hua Hai Na Ho Soz-e-iztirab-e-durun in PDF.