Wo Daur-e-nashat-o-dida-o-dil Jaise Bas Abhi Guzra Hi To Hai

wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai

sine ki kasak kis tarah miTe har dagh-e-kuhan taza hi to hai

tu sath kahan lekin ab tak har rahguzar-e-tanhai par

jo aage aage chalta hai ai dost koi tujh sa hi to hai

is tair-e-awara ke liye yun jal na bun ummidon ke

uDta hua lamha jaise abhi roke se tere rukta hi to hai

malum nahin kis waqt ye kya bartaw kisi se karti hai

duniya se koi ummid na rakh mayus na ho duniya hi to hai

kirnen nae din ke suraj ki phailengi to gum ho jaega

tarik hai jis se dil ka ufuq guzri shab ka saya hi to hai

lamhon ke hujum-e-gurezan mein ek lamha jise apna kahiye

jaan de ke bhi hath aa jae agar mahnga kab hai sasta hi to hai

'maKHmur' taaqub kar dekho kuchh dur nahin hath aa jae

ek gum-shuda KHushbu ka jhonka aangan se abhi guzra hi to hai

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Daur-e-nashat-o-dida-o-dil Jaise Bas Abhi Guzra Hi To Hai In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Wo Daur-e-nashat-o-dida-o-dil Jaise Bas Abhi Guzra Hi To Hai is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Wo Daur-e-nashat-o-dida-o-dil Jaise Bas Abhi Guzra Hi To Hai for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Wo Daur-e-nashat-o-dida-o-dil Jaise Bas Abhi Guzra Hi To Hai in PDF.