Sine Mein Kasak Ban Ke Utarne Ke Liye Hai

sine mein kasak ban ke utarne ke liye hai

har lamha-e-hasil ki guzarne ke liye hai

sanwarega na is sham sar-e-aina koi

ye sham to tere hi sanwarne ke liye hai

namus-e-gulistan ka taqaza sahi kuchh bhi

KHushbu to magar qaid na karne ke liye hai

tum ret mein chaho to use khe na sakoge

kashti jo samundar mein utarne ke liye hai

kuchh aur nahin dil ki tamannaon ka hasil

is shaKH ka har phul bikharne ke liye hai

soi hui har Tis kabhi jag uThegi

jo zaKHm hai is dil mein na bharne ke liye hai

taswir-e-gham-e-dil na kabhi mand paDegi

miTta hua har naqsh ubharne ke liye hai

ye qafila-e-umr-e-rawan rah-e-talab par

do-chaar qadam chal ke Thaharne ke liye hai

'maKHmur' ye duniya wo rasad-gah-e-ajal hai

zinda hai yahan koi to marne ke liye hai

(363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sine Mein Kasak Ban Ke Utarne Ke Liye Hai In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Sine Mein Kasak Ban Ke Utarne Ke Liye Hai is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Sine Mein Kasak Ban Ke Utarne Ke Liye Hai for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Sine Mein Kasak Ban Ke Utarne Ke Liye Hai in PDF.