Likh Kar Waraq-e-dil Se MiTane Nahin Hote

likh kar waraq-e-dil se miTane nahin hote

kuchh lafz hain aise jo purane nahin hote

jab chahe koi phunk de KHwabon ke nasheman

aankhon ke ujaDne ke zamane nahin hote

jo zaKHm azizon ne mohabbat se diye hon

wo zaKHm zamane ko dikhane nahin hote

ho jae jahan sham wahin un ka basera

aawara parindon ke Thikane nahin hote

be-wajh talluq koi be-nam rifaqat

jine ke liye kam ye bahane nahin hote

kahne ko to is shahr mein kuchh bhi nahin badla

mausam magar ab utne suhane nahin hote

sine mein kasak ban ke base rahte hain barson

lamhe jo palaT kar kabhi aane nahin hote

aashufta-sari mein hunar-e-harf-o-nawa kya

lafzon mein bayan gham ke fasane nahin hote

'maKHmur' ye ab kya hai ki bar-e-gham-e-dil se

bojhal mere ehsas ke shane nahin hote

(297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Likh Kar Waraq-e-dil Se MiTane Nahin Hote In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Likh Kar Waraq-e-dil Se MiTane Nahin Hote is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Likh Kar Waraq-e-dil Se MiTane Nahin Hote for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Likh Kar Waraq-e-dil Se MiTane Nahin Hote in PDF.