Laja Laja Ke Sitaron Se Mang Bharti Hai

laja laja ke sitaron se mang bharti hai

urus-e-sham ye kis ke liye sanwarti hai

wo apni shoKHi-e-raftar-e-naz mein gum hai

use KHabar hi kahan kis pe kya guzarti hai

jawab us ke sawalon ka de koi kab tak

ye zindagi to musalsal sawal karti hai

us aarzu ne hamein bhi kiya asir apna

wo aarzu jo sada dil mein ghuT ke marti hai

ab aa gae ho to Thahro KHaraba-e-dil mein

ye wo jagah hai jahan zindagi sanwarti hai

ye chhaTne wale hain baadal jo kale kale hain

isi faza mein wo raushan dhanak nikharti hai

koi paDaw nahin is safar mein ai 'maKHmur'

jo chal paDe to hawa phir kahan Thaharti hai

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laja Laja Ke Sitaron Se Mang Bharti Hai In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Laja Laja Ke Sitaron Se Mang Bharti Hai is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Laja Laja Ke Sitaron Se Mang Bharti Hai for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Laja Laja Ke Sitaron Se Mang Bharti Hai in PDF.