Lafzon Ke Siyah Pairahan Mein LipTi Hui Kuchh Tanwiren Hain

lafzon ke siyah pairahan mein lipTi hui kuchh tanwiren hain

ai dida-waro pahchano to kis hath ki ye tahriren hain

jati hui rut kab rukti hai ai dil ye abas tadbiren hain

jo qaid hawaon ko kar len kya aisi bhi kuchh zanjiren hain

naghma wo kis ne chheDa hai bichhDe hue gham sab aan mile

aawaz ki lahron par larzan sau mohr-ba-lab taswiren hain

aawara hawa ke jhonkon par akasr ye guman guzra jaise

ye hum se preshan-haalon ki be-samt-o-jehat taqdiren hain

is shahr mein le kar aae hain hum shabnam-o-gul ki saughaten

aankhon mein jahan angare hain hathon mein jahan shamshiren hain

kuchh KHwab ujalon ke hum ne dekhe the magar ta-hadd-e-nazar

jo zulmat ban kar phail gain kin KHwabon ki tabiren hain

kyun aaj ki jaani-pahchani shaklon se nazar manus nahin

aankhon mein jo phirti rahti hain kis daur ki ye taswiren hain

hum apni zat ke zindan se bahar jo nikal aae bhi to kya

qadmon se jo lipTi paDti hain rahen ye nahin zanjiren hain

(341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafzon Ke Siyah Pairahan Mein LipTi Hui Kuchh Tanwiren Hain In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Lafzon Ke Siyah Pairahan Mein LipTi Hui Kuchh Tanwiren Hain is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Lafzon Ke Siyah Pairahan Mein LipTi Hui Kuchh Tanwiren Hain for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Lafzon Ke Siyah Pairahan Mein LipTi Hui Kuchh Tanwiren Hain in PDF.