Labon Pe Hai Jo Tabassum To Aankh Pur-nam Hai

labon pe hai jo tabassum to aankh pur-nam hai

shuur-e-gham ka ye aalam ajib aalam hai

guzar na jada-e-imkan se be-KHayali mein

yahin kahin teri jannat yahin jahannam hai

bhaTak raha hai dil imroz ke andheron mein

nishan-e-manzil-e-farda bahut hi mubham hai

baDha diya hai asiron ki KHasta-haali ne

qafas se ta-ba-chaman warna fasla kam hai

abhi nahin kisi aalam mein dil Thaharne ka

abhi nazar mein teri anjuman ka aalam hai

kahan ye zindagi-e-harza-gard le aai

na rahguzar-e-tarab hai na jada-e-gham hai

kuchh aise hum ne tere gham ki parwarish ki hai

ki jaise maqsad-e-hasti faqat tera gham hai

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Labon Pe Hai Jo Tabassum To Aankh Pur-nam Hai In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Labon Pe Hai Jo Tabassum To Aankh Pur-nam Hai is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Labon Pe Hai Jo Tabassum To Aankh Pur-nam Hai for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Labon Pe Hai Jo Tabassum To Aankh Pur-nam Hai in PDF.