Agar Chahun JhaTak Kar ToD Dun Zanjir-e-tanhai

agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai

main tinka hun magar maujon se hai meri shanasai

sharik-e-rah thi jab tak hamari aabla-pai

na mathe par shikan ubhri na panw mein thakan aai

hawa se subh-e-na-asudgi achchha kiya tu ne

kitab-e-zindagi ke kuchh waraq tu bhi uDa lai

hazaron marhale the fasl-e-gul se chaak-e-daman tak

KHizan guzri to kab guzri bahaar aai to kab aai

'nasim' ek din wo aaega ki mazlumon ke qadmon mein

panahen DhunDhti hogi sitam-ranon ki darai

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Chahun JhaTak Kar ToD Dun Zanjir-e-tanhai In English By Famous Poet Malika Naseem. Agar Chahun JhaTak Kar ToD Dun Zanjir-e-tanhai is written by Malika Naseem. Read famous Poem Agar Chahun JhaTak Kar ToD Dun Zanjir-e-tanhai for youth and Student by Malika Naseem. Free Download Agar Chahun JhaTak Kar ToD Dun Zanjir-e-tanhai in PDF.