Har Gham Ko Yun To Zabt Kiye Ja Raha Hun Main

har gham ko yun to zabt kiye ja raha hun main

is gham ko kya karun ki jiye ja raha hun main

lo sath de chuki shab-e-hijran ka zindagi

ab sham-e-gham ko sath liye ja raha hun main

han aankh tar nahin magar aansu kahan se aaen

hamraaz KHun-e-dil to piye ja raha hun main

kaisa sukun ki dil bhi to hai dafn mere sath

ye saz-e-iztirab liye ja raha hun main

bhar bhar ke de raha hai falak talKH jam-e-gham

kya zauq hai bala ka piye ja raha hun main

han pa-e-sabr thak gae lekin idhar to dekh

ab sajda-e-ha-e-shukr kiye ja raha hun main

'mani' ye sozan-e-nafas-o-rishta-e-wafa

lab-ha-e-shikwa-sang siye ja raha hun main

(432) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Gham Ko Yun To Zabt Kiye Ja Raha Hun Main In English By Famous Poet Mani Jayasi. Har Gham Ko Yun To Zabt Kiye Ja Raha Hun Main is written by Mani Jayasi. Read famous Poem Har Gham Ko Yun To Zabt Kiye Ja Raha Hun Main for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download Har Gham Ko Yun To Zabt Kiye Ja Raha Hun Main in PDF.