Ye Kaun Mane Ki Na-ashna-e-raaz Hai Tu

ye kaun mane ki na-ashna-e-raaz hai tu

magar yahi ki KHudawand-e-be-niyaz hai to

us aastan pe jo sar hai to sarfaraaz hai tu

niyaz-mandi-e-alam se be-niyaz hai tu

samajh mein aae na aae ada-e-chaaragari

mujhe to hai ye bharosa ki chaarasaz hai tu

fana nahin hai ajal umr-e-jawedani hai

wajud hai wo haqiqat ki jis ka raaz hai tu

qubul kar meri dad ai meri siyah-baKHti

harif-e-zulmat-e-tanhai-e-daraaz hai to

nawazishen teri mubham sahi magar ai dost

ye e'tibar hai kya kam ki dil-nawaz hai tu

baDe marahil-e-dushwar se guzarna hai

niyaz jada hai aur manzil-e-niyaz hai tu

ye manta hai zamana ki main hun nazish-e-sabr

ye raaz koi na samjha ki mera naz hai tu

hai sar KHushi mein tujhe pas-e-gham-kashan 'mani'

ajib rind-e-KHuda-tars-o-pak-baz hai tu

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaun Mane Ki Na-ashna-e-raaz Hai Tu In English By Famous Poet Mani Jayasi. Ye Kaun Mane Ki Na-ashna-e-raaz Hai Tu is written by Mani Jayasi. Read famous Poem Ye Kaun Mane Ki Na-ashna-e-raaz Hai Tu for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download Ye Kaun Mane Ki Na-ashna-e-raaz Hai Tu in PDF.