Zist Ke Aasar RuKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai

zist ke aasar ruKHsat hain mohabbat dil mein hai

karwan jata hai mir-e-karwan manzil mein hai

aao dam sine mein baqi hai na hasrat dil mein hai

ab to jo kuchh hai wo chashm-e-muntazar ke til mein hai

han azal se jo muqaddar hai wahi hoga magar

jazba-e-taid-e-qudrat sai-e-la-hasil mein hai

jaan-sitan hai husn kya husn-e-talab ki ehtiyaj

wo to zinat ke liye KHanjar kaf-e-qatil mein hai

jis ki manzil hai baqa wo jada-paima-e-fana

dil idhar naqis mein shamil hai udhar kaamil mein hai

tab-e-KHalwat kaun la sakta hai dil to miT chuka

kis qadar qatil tera jalwa bhari mahfil mein hai

tu jise chahe haqiqat kah jise chahe majaz

ek surat jo nazar mein hai wahi to dil mein hai

iltija naz-afrini ke liye hai warna sun

aarzu KHud us ki shahid hai ki jalwa dil mein hai

ye mata-e-zist bhi hoti hai 'mani' nazr-e-maut

ek nazar aankhon mein hai aur ek hasrat dil mein hai

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zist Ke Aasar RuKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai In English By Famous Poet Mani Jayasi. Zist Ke Aasar RuKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai is written by Mani Jayasi. Read famous Poem Zist Ke Aasar RuKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download Zist Ke Aasar RuKHsat Hain Mohabbat Dil Mein Hai in PDF.