Bahut Hain Roz-e-sawab-o-gunah Dekhne Ko

bahut hain roz-e-sawab-o-gunah dekhne ko

ki hum hain zindagi-e-be-panah dekhne ko

banegi ab nazar inkar so ruke hain sabhi

KHud apni aankh se apni nigah dekhne ko

meri nawa ko jo pakizgi ata kar de

taras raha hun wo masum chah dekhne ko

main sang-e-rah nahin dil ke is do-rahe par

khaDa hua hun faqat apni rah dekhne ko

mila diya hamein apnon se shukriya ai waqt

yahi mile the hamein yun tabah dekhne ko

tunuk-mizaj hain hum yun na roz roz milo

bahut hai aao agar gah gah dekhne ko

jo mere bare mein mujh se bhi mo'tabar hai koi

main ji raha hun tera wo gawah dekhne ko

sun ai hamare siyah o safed ke malik

hum aae hain wo safed o siyah dekhne ko

tum aankh tak nahin malte macha ho jab kohram

tum aankh kholte ho sirf wah dekhne ko

wo chup to yun hai ki aagah jin ko karna tha

jiye na lamha-e-yak-intibah dekhne ko

ye kis ki aah lagi ghar nahin koi milta

har ek makan hai KHud sab ki rah dekhne ko

khula ki dida-e-ibrat nigah koi na tha

uThi thi yun to har ek ki nigah dekhne ko

jo sab ki jaan ka janjal ye nibah hai 'talKH'

main sab ke sath hun bas wo nibah dekhne ko

(325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Hain Roz-e-sawab-o-gunah Dekhne Ko In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Bahut Hain Roz-e-sawab-o-gunah Dekhne Ko is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Bahut Hain Roz-e-sawab-o-gunah Dekhne Ko for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Bahut Hain Roz-e-sawab-o-gunah Dekhne Ko in PDF.