Bana De Aur Bhi Kuchh Dur Ki Sada Mujhko

bana de aur bhi kuchh dur ki sada mujh ko

ye jitne fasle mumkin hain sab dikha mujh ko

har ek chehre ko pahchanne ki koshish ne

har ek chehre ki uljhan bana diya mujh ko

thaka thaka sa tasalsul bana ke dariya ka

ye phailta hua sahra na ab bana mujh ko

main silsila hun sadaon ke TuT jaane ka

to soch kar hi dobara sada bana mujh ko

tu meri baat hai to gunj ja mere andar

main teri chup hun to phir toD kar dikha mujh ko

main sun raha hun har ek choT mein sada apni

ruke na hath tera toDta hi ja mujh ko

mera KHayal hai ghar ke bahut qarib hun main

har ek lamha na yun warna dekhta mujh ko

ye log kya hain kisi ka koi wajud bhi hai

ye aar-par nazar aa raha hai kya mujh ko

ajab thakan hun kisi se na kuchh bhi kahne ki

ajab tarah ye paDa KHud se wasta mujh ko

main apne dhyan se KHud hi utar gaya tha talKH

sabhi ghalat hain kisi ne nahin suna mujh ko

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bana De Aur Bhi Kuchh Dur Ki Sada Mujhko In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Bana De Aur Bhi Kuchh Dur Ki Sada Mujhko is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Bana De Aur Bhi Kuchh Dur Ki Sada Mujhko for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Bana De Aur Bhi Kuchh Dur Ki Sada Mujhko in PDF.