Ek Lamha Jo KaTe Dusra Phir Bhaari Hai

ek lamha jo kaTe dusra phir bhaari hai

hui ek umr ki apni tag-o-dau jari hai

kah ke ye mujh se ki is shahr mein ho tum kab se

inT sar par kisi ne jaise ki de mari hai

aur le aae ho tum baaten ye duniya bhar ki

apni baaton se yahan pahle hi be-zari hai

koi jis baat se KHush hai to KHafa dusra hai

kuchh bhi kahne mein kisi se yahi dushwari hai

sath le len ye zara KHud ko to bas chalte hain

aur rahne ke nahin chalne ki tayyari hai

dad jab madd-e-muqabil ke suKHan ki di aaj

dost kahte hain ki matlab ki taraf-dari hai

KHud ko ya dusron ko 'talKH' pareshan na karo

kuchh nahin tum ko faqat jine ki bimari hai

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Lamha Jo KaTe Dusra Phir Bhaari Hai In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Ek Lamha Jo KaTe Dusra Phir Bhaari Hai is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Ek Lamha Jo KaTe Dusra Phir Bhaari Hai for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Ek Lamha Jo KaTe Dusra Phir Bhaari Hai in PDF.