Kis Liye Sab Ko Ajab Bojh Laga Sar Apna

kis liye sab ko ajab bojh laga sar apna

le ke mahfil mein jo pahuncha main kaTa sar apna

hath lapke to bahut pahunche na gardan tak bhi

na magar ahl-e-nazar the na jhuka sar apna

rasm phir rasm hai Thahra hai lahu hi jo suhag

chamak ai tegh-e-hawa le ye raha sar apna

sab hawa bhul gai sarkashi-o-sha-zori

ek zara dosh-e-hawa par jo uDa sar apna

hum ne Thokar bhi agar khai to ghar aa kar hi

apni dahliz hi se ja ke laga sar apna

bas ki ab dekhna hai apne lahu se rishta

KHwab mein dekhta hun tan se juda sar apna

kam se kam bhul gae war to shamshiron ko

'talKH' jaane do bhula do jo gaya sar apna

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Liye Sab Ko Ajab Bojh Laga Sar Apna In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Kis Liye Sab Ko Ajab Bojh Laga Sar Apna is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Kis Liye Sab Ko Ajab Bojh Laga Sar Apna for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Kis Liye Sab Ko Ajab Bojh Laga Sar Apna in PDF.