Kisi Ke Sath Na Hone Ke Dukh Bhi Jhele Hain

kisi ke sath na hone ke dukh bhi jhele hain

kisi ke sath magar aur bhi akele hain

ab is ke baad na jaane nasib mein kya hai

na sath aao hamare bahut jhamele hain

kahan hai yaad mila koi kab to kab bichhDa

hum apne dhyan se utre hue se mele hain

kaho na mujh se ki chalte hain ab milenge phir

ye khel wo hain ki sadiyon se log khele hain

jo ghar mein jaun to aawaz tak nahin koi

gali mein aaun to har su sada ke rele hain

jo log bhul-bhulayyan hain 'talKH' ab apni

nahin wo sirf akele bahut akele hain

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Sath Na Hone Ke Dukh Bhi Jhele Hain In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Kisi Ke Sath Na Hone Ke Dukh Bhi Jhele Hain is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Kisi Ke Sath Na Hone Ke Dukh Bhi Jhele Hain for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Kisi Ke Sath Na Hone Ke Dukh Bhi Jhele Hain in PDF.