Kuchh Aur Nazar Aate KHud Se Jo Dare Hote

kuchh aur nazar aate KHud se jo Dare hote

sae mein kahin hote kuchh zaKHm bhare hote

duniya ka jo bas chalta rakh deti kuchal kar hi

phir ye bhi haqiqat hai hum kitna pare hote

lagtin na kisi ko bhi baaten ye buri apni

do-chaar jo hum aaise kuchh aur khare hote

andar se sabhi shayad aawaz ke ghayal hain

aawaz na dete to kyun zaKHm hare hote

ho koi bhi hum sab ka munh band na kar dete

ilzam agar sar pe KHud hi na dhare hote

kuchh dekh ke ji apna hota jo zara bhi KHush

phir hath in aaankhon pe aaise na dhare hote

kuchh jaanne ki dhun hai kya jaanna hai lekin

malum ye hota to KHud se na pare hote

ye 'talKH' kiya kya hai KHud se bhi gae tum to

marna hi kisi par tha tum KHud pe mare hote

(296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aur Nazar Aate KHud Se Jo Dare Hote In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Kuchh Aur Nazar Aate KHud Se Jo Dare Hote is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Kuchh Aur Nazar Aate KHud Se Jo Dare Hote for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Kuchh Aur Nazar Aate KHud Se Jo Dare Hote in PDF.