Mahsus Jo Hota Hai Ki Hum Hain Bhi Nahin Bhi

mahsus jo hota hai ki hum hain bhi nahin bhi

dekho to jo hum aaise hon do chaar kahin bhi

auham ke asrar bhi kuchh kam nahin gahre

chakkar mein bahut aae hain kuchh ahl-e-yaqin bhi

az-roz-e-azal hai ki nahin hai ka hai mahshar

aur is ka jawab aaj bhi han bhi hai nahin bhi

jo baat samajh le wo kahin bhi na milega

ghum aao jidhar chaho chale jao kahin bhi

iqrar bhi inkar bhi par tol raha hai

parwaz se larzan hai meri han bhi nahin bhi

aafaq jhuka aae jahan baiThe hon chup-chap

bas hum se bahut tang falak bhi hai zamin bhi

ta-hadd-e-nazar naqsh-e-qadam bhi nahin milta

har sang se zahir koi rudad-e-jabin bhi

jo naqsh-e-qadam waqt ke hain ret pe ai 'talKH'

kuchh aaise falak par bhi hain kuchh zer-e-zamin bhi

(311) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahsus Jo Hota Hai Ki Hum Hain Bhi Nahin Bhi In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Mahsus Jo Hota Hai Ki Hum Hain Bhi Nahin Bhi is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Mahsus Jo Hota Hai Ki Hum Hain Bhi Nahin Bhi for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Mahsus Jo Hota Hai Ki Hum Hain Bhi Nahin Bhi in PDF.