Main Ek Sham Jo LauTa Ghubar-e-jaan Ban Kar

main ek sham jo lauTa ghubar-e-jaan ban kar

bikhar ke rah gaya rahon ki dastan ban kar

main KHud mein gunjta hun ban ke tera sannaTa

mujhe na dekh meri tarah be-zaban ban kar

main apne aap ka wo shor tha tujhe pa kar

tujhe Dara diya aawaz-e-be-aman ban kar

har ek shaKHs hai afwah aap hi apni

har ek ko jaanta hai har koi guman ban kar

tamam samten palaTti si jaan paDti hain

pahunch raha hun kahan dard-e-la-makan ban kar

ye kis ko DhunD raha hun main ek arse se

KHud apna hi koi bhaTka hua nishan ban kar

jo KHud the apni sada ka yaqin wahi to hain hum

pahaD jaise koi uD gaya dhuan ban kar

tu kar ke radd mujhe KHud ko zara qubul to kar

khaDa hun tere liye ek imtihan ban kar

KHud apni baat ka dukh ban ke rah na ja ai 'talKH'

har ek dil mein sama ja gham-e-jahan ban kar

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ek Sham Jo LauTa Ghubar-e-jaan Ban Kar In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Main Ek Sham Jo LauTa Ghubar-e-jaan Ban Kar is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Main Ek Sham Jo LauTa Ghubar-e-jaan Ban Kar for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Main Ek Sham Jo LauTa Ghubar-e-jaan Ban Kar in PDF.