Sans Roke Raho Lo Phir Wo Sada Aati Hai

sans roke raho lo phir wo sada aati hai

jis ko tarsen kai sadiyan to suni jati hai

koi pahchan wahi phans bani hai ki jo thi

ajnabiyyat wahi har sans mein sharmati hai

hath phailae hue mang rahi hai kya raat

kyun andheron mein hawa roe chali jati hai

maut ki nind magar ab ke zarur uchTi hai

warna hum aison ko jhapki si kahan aati hai

baat karta hun main sab ki ye guman kaise hai

mera har saneha mera hai bahut zati hai

kaifiyat si ye magar kya hai hamare ji ki

jaise raftar ki raftar se Takraati hai

apna-pan bhi hai wahi aur wahi khoya-pan

'talKH' tu aaj bhi pahle sa hi jazbaati hai

(328) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sans Roke Raho Lo Phir Wo Sada Aati Hai In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Sans Roke Raho Lo Phir Wo Sada Aati Hai is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Sans Roke Raho Lo Phir Wo Sada Aati Hai for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Sans Roke Raho Lo Phir Wo Sada Aati Hai in PDF.