Shikasta-pa Ko Bhi Ab Zauq-e-rah-nawardi Hai

shikasta-pa ko bhi ab zauq-e-rah-nawardi hai

dilon mein hum ne wo dhun manzilon ki bhar di hai

guzar kar teri yaadon mein chaar din hum ne

samajh liya ki koi KHas baat kar di hai

meri talab meri hasti se kuchh ziyaada na thi

agarche mujh pe ye tohmat jahan ne dhar di hai

jo raste nazar aate hain jaane-pahchane

unhin ne gum-shudagi ki hamein KHabar di hai

mila suragh-e-haqiqat to dekhta kya hun

ki us ne quwwat izhaar KHatm kar di hai

na puchh aagahi-e-gham ki yun hua mahsus

dahakti aag pe main ne zaban dhar di hai

bahut bujhi hui baaton ka bojh hai dil par

magar kisi ko bhi kya 'talKH' ne KHabar di hai

(440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikasta-pa Ko Bhi Ab Zauq-e-rah-nawardi Hai In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Shikasta-pa Ko Bhi Ab Zauq-e-rah-nawardi Hai is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Shikasta-pa Ko Bhi Ab Zauq-e-rah-nawardi Hai for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Shikasta-pa Ko Bhi Ab Zauq-e-rah-nawardi Hai in PDF.