Yunhi Nahin Hum Bolte Jate Ye Apni Majburi Hai

yunhi nahin hum bolte jate ye apni majburi hai

junhi kuchh kah chukte hain lagta hai baat adhuri hai

sab apni afwah bane hain asl mein kya the bhul gae

jine ki jo surat hai so ye bhi aaj zaruri hai

duniya meri zindagi ke din kam karti jati hai kyun

KHun pasina ek kiya hai ye meri mazduri hai

apne baad hi duniya mein Thahrao jo aae to aae

jab tak hum zinda hain tab tak har ek daur uburi hai

DhunD rahe hain kis ko log shikari jaisi nazron se

saf-dar-saf maujud hun main to har ek saf to puri hai

sab ek dusre ko nazron se bas ye dilasa dete hain

hain to hum sab pas hi bas andar ki ye ek duri hai

itni sari aawazon mein shayad sunne wale ko

bas itna hi yaad rahega meri baat zaruri hai

koi bahana mil jae to hath nahin hum aane ke

der ye hai chal dene mein tayyari to puri hai

'talKH' hamare hosh ke aalam ka hai rang-e-suKHan kuchh aur

jis par wajd mein hai ek duniya wo to ghair-shuuri hai

(407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi Nahin Hum Bolte Jate Ye Apni Majburi Hai In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Yunhi Nahin Hum Bolte Jate Ye Apni Majburi Hai is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Yunhi Nahin Hum Bolte Jate Ye Apni Majburi Hai for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Yunhi Nahin Hum Bolte Jate Ye Apni Majburi Hai in PDF.