Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai

zamana hai ki mujhe roz sham Dasta hai

magar ye dil hai ki pahle se aur hansta hai

tu ye bata unhen kis ne bana diya aisa

ki tere samne har koi dast-basta hai

main us ko chhoD ke ab jaun to kahan jaun

yahi to ek meri zindagi ka rasta hai

ajib baat hai lagta hai yun har ek chehra

ki bolne ke liye jis tarah tarasta hai

jo sukh ka sans mile umr bhar ke badle bhi

tu meri man ki sauda ye phir bhi sasta hai

sab ek dusre ko ab to yun bhi jaante hain

ki ek ek ka andar se haal KHasta hai

shikayat aur to kuchh bhi nahin in aankhon se

zara si baat pe pani bahut barasta hai

karahta bhi hai har aan jo bhi zinda hai

aur apne gird shikanja bhi KHud hi kasta hai

hamara kal koi patal mein rakh aaya hai

samundaron mein se kahte hain koi rasta hai

kisi tarah bhi to samjha sake na hum us ko

zamane se ye kaho KHud pe 'talKH' hansta hai

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Zamana Hai Ki Mujhe Roz Sham Dasta Hai in PDF.