Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse

zikr hai dard ka ek shahr basa hai mujh se

ab ye jaana ki mera dard baDa hai mujh se

bahut ehsan hai jo koi bhi mila hai mujh se

shahr ka shahr magar jaise KHafa hai mujh se

bar-ha KHud pe main hairan bahut hota hun

koi hai mujh mein jo bilkul hi juda hai mujh se

kaT se jate hain sabhi koi nahin kuchh kahta

kaun sa jaane qusur aisa hua hai mujh se

munh pe kahne to lage hain meri basti wale

baat karne ka chalan kuchh to chala hai mujh se

baat karte hue KHud se jo guzarta hai koi

mujh ko lagta hai ye kuchh us ne kaha hai mujh se

abhi lauT aaega meri hi tarah kuDhta sa

mere hi ghar ka pata puchh gaya hai mujh se

main ne ye sab se kaha tum to kahin ke na rahe

aur dekho ki yahi sab ne kaha hai mujh se

hai koi mujh sa kahun kya na main jaanun na kuchh aur

aur mera hi pata puchh raha hai mujh se

'talKH' jata hi nahin dukh ke nagar kahta hai

hai wahan jo bhi wo mil kar hi gaya hai mujh se

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Zikr Hai Dard Ka Ek Shahr Basa Hai Mujhse in PDF.