Dukh Se Khaali Khaali Rona

main hun ya tum ho

ye sach hai

apne andar ek qabila har koi hai

jis ko shayad

raat ko sahra ke rone ka raaz pata hai

aisa rona

dur kahin jaise kuchh bachche

sadiyon pahle hum ne jin ko qatl kiya ho

aur wo apne qatl se pahle

roe chale jate hon

ya phir

ye un ruhon ka rona ho

jo insani rup mein zahir ho na saki hun

ret ke Tilon ko chhu chhu kar

misl-e-hawa

roe jati hun

aur qabile ke bashinde

hum

apne KHemon mein leTe

apne aap se baaten karte

raat ko sahra ki tanhai ka rona sunte rahte hain

sarangi ki sur ki tarah sisakta sahra

hum sab mein hai

lekin phir bhi

mera rona

tera rona

dukh se KHali KHali kyun hai

(331) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukh Se Khaali Khaali Rona In English By Famous Poet Manmohan Talkh. Dukh Se Khaali Khaali Rona is written by Manmohan Talkh. Read famous Poem Dukh Se Khaali Khaali Rona for youth and Student by Manmohan Talkh. Free Download Dukh Se Khaali Khaali Rona in PDF.